Shukr hai uss khuda ka,
Jisne hume iss mukhaam par rakha.
Jaha hazaar gham seh kar bhi,
Yeh dil, Na kabhi haara, Na kabhi thaka.
Lootera hoon main
Pyasa hoon main
Tere is daulath ka
Bhooka hoon main
Jo tere saanson
mein samayi hai
Jo tere aankhon
ne dikhayi hai
Jo tere dhadkan
ne sunayi hai
Jo tere khayalon
ne batayi hai
Lootera hoon main
Pyasa hoon main
Tere is daulath ka
Bhooka hoon main.
Yun hi toh pyar karte karte lagne laga tha
ke insaaniyath se bharosa utt jaayega.
Par yeh aag dil mein faili iss tarha se
ke yeh aashiq to pyar karte karte hi mitt jaayega.
(Saw this one on an auto)
Giravat ki zindagi jiya nahi karte.
Hum kissi ka peecha kiya nahi karte.
Itefaq se ye dil tumpar aaya,
Varna yeh haseen tofa hum kissi ko diya nahi karte.
Apni jaan se bhi zyada chahte tumhe hai hum.
Yeh sirf dilase ke alfaaz nahi,
main jee ke dikha doonga.
Tumne jo dil mein aag lagayi hai sanam.
Khushiyon aur gham se para yeh ehsaas lekar,
main saari duniya jala doonga.
No comments:
Post a Comment